Aaj fir yaad aai tere sath beete chand lamho ki kahani,
dil mein jagi tere ehsaas ki chhuwan aur aankhon me fir wohi paani.
Aaj fir yaad aai tere saath beete chand lamho ki kahani..
Fir aai thandi hawa ke jhonkon mein teri khusboo,
dikhi chand me teri soorat saloni,sitaro mein teri rawani.
Aaj fir yaad aai tere saath beete chand lamho ki kahani..
Fir laga ke tu hai kahin aas paas,
giraya palko ko to dikhi teri soorat saloni.
Aai teri yaad, tham si gayi dhadkan, ruk si gayi zindgani.
Aaj fir yaad aai tere saath beete chand lamho ki kahani..
Raat ke andheron me dikhi teri soorat dhoomil si, jaani pehchani,
kab aks banega tera haquiquat, kab ayegi chandani.
Aaj fir yaad aai tere sath beete chand lamho ki kahani...
Aaj fir yaad aai tere sath beete chand lamho ki kahani.....


